Me mere experience ke base per aap ko study planning kaise kare taki aap ka result bhot hi Acha rhe ke bare me batuga.
Mene study planning ko class wise categary me bata h jo iss type se h: -
1. Class 1 to 5th
2. Class 6 to 8th
3. Class 9 to 10th
4. Class 11 to12th
1. Class 1 to 5th :-
Class 1 se 5th me study karne wale bacho ko study iss type se karwaiye ki bacho ko study ek khel (game) lage n ki borring lage .
agar aap chahte ho ki aap ka bacha school me ache number laker aaye to aap ko kuch baato ka dhyan rakhjna padega jo ki is niche likh raha hu:-
(1) apne bache ko yesa kabhi bhi mat kahiye ki study karna muskil h kyoki start me agar aapne apne bache ke mind me yah baat dal di ki study muskil h to fir uske man me study ko lekar dar beth jayega aap apne bache ko payar se smjhaye ki study karna bhut aasan h or study karne me bhot maja aata h
(2) Aap apne bache ko study iss type se kanwaiye ki study use mnorjan ke rup me lage n ki bhoj .
(3) Aap apne bache ko roj 1-2 hours uske pass bethkar study karwaye uska homework complete karne me uski help kare.
(4) Use thoda dusre bacho ke sath khelne de .
(5) Aap apne bache ko computer or mobile per jayda game khelne n de iss se uski eye or mind pe bura asar padta h .
(6) Agar aap ko apne bache ko koi baat samjani h to use payar se samjaye n ki gusse se payar se samjoge to bache jaldi smj jate h.
2. Class 6 to 8th :-
Jab aap ka bacha class 6th se 8th me hota h h to use dhire -dhire smaj aane lag jati h or wo study me interest lene lag jata h
(1) Aap apne bache ka ek shedule banye or use smaja de ki subh udhkar kya karna h ,school se waps aakar kya karna h, khelene kab jana h ,TV kab dekhni h etc.
(2) Aap apne bache ke sath jayda time spend kare or uski study me help karne .
3. Class 9th to 10th:-
Jab ek bacha class 9th se 10th me hota h tab use dhire-dhire duniyadari ki smaj aane lag jati h. yah ek yesi age hoti h jisme bache me mansik or saririk rup se changes aana start ho jate h or aap ke bache kusngati me jane ki problitiy bhi jada ho jati h ab aap agar chahte ho ki aap aap ka bacha ekdam sahi sangat me jaye or board exam me ache number lakar pass hoye to aap niche di gai baato pe dhyn jarur de:-
(1) Aap apne bache ke sath ek friend jesa behaviour kare .
(2) Kabhi Kabhi ( weak me 1 bar) use payuar se sahi or galt me kya diference hota h bataye or uske aage jake kya effect ho sakte h use jarur bataye .
(3) Aap apne bache ko ek question jarur puche ki aage jakr woi kya banna chata h jese Doctor , CA etc or jo wo banna chahta h aap use kahe ki ha tu jarur banega bs sbse pehle tuje 10th ache percent se pass hona padega or iske liye ache se study karni padegi or ye sb kanr "BHOT HI AASAN H" use motivate karte rahe .
(4) Aap apne bache ke dosto ke bare me time to time jankari lete rahe ki kahi uski sangati galt to nhi h .
(5) Aap apne bache ko roj 4-5 hours study karwaye .
(6) Aap use T.V dekhne de per limt rakhe.
(7) Jis subject me uski ruchi h wah subject to wo self hi prepare kar sakta h per jis subject me uski ruchi nahi h to aap us subject ki prepartion kane me uski help kare .
(8) Aap apne bache pe jayda rok tok n kare balki use payar se smajaye .
(9) Agar aap ke bache ki study se jyda kisi khel (game) me ruchi ho to aap use us khel ko khelne de ho sakta h wo us khel me aap ka or khud ka name rosan kare . isliye use moka jarur de.
(10) Aap apne bache ko age ke hisab se jesa jaruri ho information dete rahe .
4. Class 11 to 12
Jb aapka bacha 10th board exam pass krke aage badhta h to uske ache %bne ho to uski ruchi anusar subject dilvaye or agr uske ache % n bane ho to ho to use himt mat harne de use motivate kare . mera yah anubhv h adhiktar bache 10th padai me ruchi nhi lete prntu 11 me aate hi unme change aa jata h or ve pdhai me ruchi lene lag jate h bs aap use motivate kre or uski ruchi anusar subject dilva de . aap us se kahiye beta tere pass me board exam me ache % lane ka ek or moka h or wo h 12th board . or use motivate kijiye yakin maniye wah aap ko 12th baord me bhot ache % lakr dikha dega .
agr ek 11 or 12 class ka student niche di gai baato pr aml kre to uske 12th board exam me 80% se jyada banege :-
1. Agr 12th board me 80% se jyada lane h to aapko subject ka base bhut acha hona chahiye matlb niv paki honi chahiye .
2. yah niv h 11th class aap 11th class me mehnt krke har ek subject me perfect ho jaye iska profit 12th board me milega.
3. Aap roj school jaye , homework or class work note book me complete rakhe .
4. Gar pe daily 4 hrs study kre.
5. tv or filmy, mobile , whatsaap , facebook , games me bilkul time khrab n kre agr game khelne ho to park jaye .
6. School me hone wale daily test me full marks lane ka koshis kare . ek bar agr pure number aagye to fir jo kushi milegi uska alg hi maja hota h or fir aap ka fir se full marks lane ka man krega . or yese bar bar full marks lane pr aap ka confidence bad jayga .
7. Hamesa achi sangti me rhe kyoki jiska sang bigda uska sb kuch bigda or jiska sang sudhra uska sb kuch sudhra .
8. Morning me jaldi uth jaye or night me time pe soye .